22 Jun 2014

- Roze Na Rakhne Ki Saza

·    Sarkar-e-madina Swallallaahu alaihi wa sallam irshaad farmaate hai ke “Jisne maahe ramzaan ka ek din ka roza bagair rukhsat-o-bagair marz iftaar kiya (na rakha) toh zamaane bhar ka roza bhi uski qaza nahi ho sakhta agarche baad mein bhi rakh le. (SAHI BUKHARI)
 
·   Sarkar-e-madina Swallallaahu alaihi wa sallam ka farmaan ka maffum hai “Jisne maahe ramzaan ko paaya aur uske roze na rakhe wo shaks shaqi (badbakht) hai.

·    Sarkar-e-madina Swallallaahu alaihi wa sallam ka farmaan ka maffum hai “Uss shakhs ki naak mitti mein miljaaye jis par maahe ramzaan ka dakhil huwa phir uski maghfirat hone se qabl guzar gaya”.

·   Ek martaba pyare aaqa Swallallaahu alaihi wa sallam khutba dene ke liye mimbar sharif par tashrif lejaarahethe, toh jab pehli seedi par khadam rakhe toh ameen kaha, jab dusri seedi par khadam rakhe toh aameen kaha, jab teesri seedi par khadam rakhe toh aameen kaha aur jab khutba khatam hogaya toh, sahaba ikraam pyare aaqa Swallallaahu alaihi wa sallam se arz kare, ya Rasoolallah Swallallaahu alaihi wa sallam  jab aap Swallallaahu alaihi wa sallam mimbar sharif par tashrif lejaarahe toh 3 martaba aameen kaha toh woh kehne ki wajah kya hai, toh pyare aaqa Swallallaahu alaihi wa sallam farmaate hai. 
Jab mai pehli seedi par khadam rakhana chaha toh Jibrayeel Alaissalaam aakar ye baddua kiye, ya Rasoolallahu Swallallaahu alaihi wa sallam woh shaks halaakh hojaaye jo maahe ramzaan ka roza na rakhta ho, maine aameen kaha, 
Jab dusri seedi par khadam rakhana chaaha toh Jibrayeel Alaissalato wassalam arz kiye ya Rasoolallah Swallallaahu alaihi wa sallam woh shaks bhi halaakh hojaaye jo maa baap ka nafarmaan hai maine aameen kaha. 
Jab teesri seedi par khadam rakhana chaha toh Jibrayeel Alaissalato tasleem ne arz kiya ya Rasoolallah Swallallaahu alaihi wa sallam woh shaks bhi halaakh hojaaye jo aap Swallallaahu alaihi wa sallam ka naam sunkar, aap Swallallaahu alaihi wa sallam par durood na bheje maine aameen kaha. 
Mere pyare aaqa Swallallaahu alaihi wa sallam ke pyare deewaano zara sooche jo maahe ramzaan ke roze na rakhe uskeliye koun baddua kar rahe hai Jibrayeel Alaissalaam jo fariston ke sardaar hai aur ameen koun kehe rahe hai, pyare aaqa Swallallaahu alaihi wa sallam jo nabiyoun ke sardaar hai, 
Jab fariston ke sardaar baddua kare aur nabiyoun ke sardaar ameen kahe kya uss baddua ko rabbe qadeer qubul nahi farmayega, zarur qubul farmaayega.  
Toh yanha se kya maalum ho raha hai jo maahe ramzaan ke roze nahi rakhe ga woh halaakh hojaayega, isiliye hame chahiye ke maahe ramzaan ke mukammil 30 roze rakhe, aur chote chote bahaane bana kar roze tark na kare warna hum yakhinan halaakh hojayenge kyun ki koun baddua kar rahe hai aur ameen koun kehe rahe hai ?

0 comments:

Post a Comment