22 Jun 2014

- Ahkam-e-Roza

Roze Ki Niyyat Ke Masail:
1) Ada-e-Rozah-e-Ramzaan aur nazre mu'aiyyan aur nafl ke roze ke liye Niyyat ka waqt Gurube Aaftaab se Zuhuwe Kubra (Shuru Zawaal) Tak hai.

2) Zuhuwe Kubra (Shuru Zawaal) Niyyat ka waqt Nahin BAL k isse pehle Niyyat ho jaana zaroori hai aur khaas Zuhuwe Kubra (Shuru Zawaal) ke waqt Niyyat ki to Rozah Na hua.

3) Niyyat dil ke irade ka naam hai, Zubaan se kehna shart Nahin magar zubaan se keh Lena mustahab hai.

4) Raat Mein Niyyat ki phir uske baad raat hi Mein khaaya, piya to Niyyat Nahin gayi, wahi pehli hi Niyyat kaafi hai phir Niyyat karne zaroori Nahin.

5) Din Mein Niyyat Kare To Zaroori hai K Ye Niyyat Kare k Main Subha Saadiq Se Rozahdaar hu Aur Agar Ye Niyyat Hai k Abse Rozahdaar Hu Subha Se Nahin To Rozah Na Hua

6) Din Mein woh Niyyat saheeh hai k subah sadiq se Niyyat karte waqt Rozah ke khilaaf koi amr na paya gaya ho-lihaza agar subah sadiq ke fauran baad Qasdan (Jaan Bujhkar) khaya, piya uske baad roze ki Niyyat ki to Rozah na hua aur agar subah sadiq ke baad bhool kar kha pi liya ab Niyyat ki to Rozah ho jaayega.

7) Rozah Todhne ki Niyyat se Rozah Nahin tutega jab tak todhne waali cheez Na kare Rozah Todhne ka pakka irada kiya magar todha Nahin to Rozah Saheeh hai.

8) Agar raat Mein roze ki Niyyat ki phir pakka irada kar liya ke Nahin rakhega to woh Niyyat jaati rahi agar nayee Niyyat na ki aur din bhar bhooka, pyaasa raha to Rozah na hua.

9) Sehri khaana bhi Niyyat hai khaah (chaahe) ramzaan ke roze ke liye ho ya Kisi aur Rozah ke liye

10) Sehri khaate waqt ye irada hai k subah KO Rozah Na hoga to yeh sehri khaana Niyyat Nahin

11) Adae Ramzaan aur nazrein mo'aiyyan aur Nafl ke alawa baaqi roze maslan qazae ramzaan aur nazre gair mo'aiyyan aur Nafl ki Qaza (yaani Nafl Rozah rakhkar todh diya tha uski qaza) inn sab Mein ain (exactly) subah chamakte waqt ya raat Mein Niyyat karna zaroori hai.

12) Gurube Aaftaab Se Zuhuwe Kubra (Shuru Zawaal) tak sirf teen qism ke roze ki Niyyat ho sakti hai.

a.) Adae Ramzaan. b.) Nazrein Mo'Aiyyan. c.) Nafli Roze
Inke Alawa Jitne roze hain maslan - Qazae ramzaan wagairah to inki Niyyat ka waqt Gurube Aaftaab ke baad se Subah Sadiq ke chamakte waqt tak hai. To agar kisine ramzaan ke qaza roze ki Niyyat subah sadiq ke baad ki, Rozah Na hua.

Kin Halaaton Mein Rozah Na Rakhne Ki Ijaazat Hai:

1) Safar Wa Hamal(Pregnancy) Aur Bachcha Ko doodh Peelana Aur Marz Aur Budhapa Ye Sab Rozah Na Rakhne Ke Liye Uzr Hain Inn Wujooh Se Koi Rozah Na Rakhe To Gunehgaar Nahin

2) Safar Se Muraad Safar-e-Sharaiy Hai Yaani Itni Door Jaane Ke Iraada Se Nikle K Yaha Se Waha Tak 92 Kilometer Ya Usse Zyaada Ho.

3) Din Mein Safar Kiya To USS Din Ka Rozah Iftaar Karne Ke LIYE Aaj Ka Safar Uzr Nahin Albatta Agar Todhega To Kaffara Laazim Na Hoga Magar Gunehgaar Hoga

4) Hamal wali (pregnancy) Aurat KO Apni Jaan Ka Khauf Ho to Ijaazat Hai K WO USS Waqt Na Rakhe

5) Mareez KO Marz Badhjaane Ya Der Mein Achcha Hone Ya Tandrust ko Bimaar Ho Jaane Ka Gumaane Gaalib Ho To Inn Sabko Ijaazat Hai K USS Din Rozah Na Rakhe

6) Inn Surton Mein Gaalib Gumaan Ki Qaid Hai Mehez Weham (khyaal) Kaafi Nahin

7) Kisi Kaafir Ya Faasiq Doctor Ke Kehne Par Rozah Todhna Jaayez Nahin Agar Todhega to Kaffara Laazim Aayega

8) Jin Logo Ne Inn Uzro Ke Sabab Rozah Todha Unpar Farz Hai k Inn Rozo Ki Qaza Rakhe Magar Hukm Ye Hai K Uzr Jaane K baad Doosre Ramzaan Aane Se PEHLE Qaza Rakhle.

Hadees Mein Farmaya Jispar Peechle Ramzaan Ki Qaza Baaki Hai Aur Wo Na Rakhe Uske Iss Ramzaan Ke Roze Qubool Na Honge Aur agar Roze Na Rakhe Aur Doosra Ramzaan Aa Gaya To Ab Pehle Iss Ramzaan Ke Roze Rakhle Qaza Na Rakhe(Yaani Ramzaan Ke Baad Rakhe)

9) Khud Uss Musafir Ko Aur Uske Saathwale Ko Rozah Rakhne Mein Zarar(Nuqsaan) Na Pahunche To Rozah Rakhna SAfar Mein Behtar Hai Warna NA Rakhna Behtar

Unn Surton Ka Bayaan Jin Mein Sirf Qazaa Laazim Hai:
1) Ye Gumaan Tha K Subah Nahin Huyi Aur Khaaya ya Piya Ya HumBistari Ki Baad Ko Maloom Hua K Subah Ho Chuki Thi To Sirf Qazaa Laazim Hai Yaani Iss Roze Ke Badle Mein 1 Rozah Rakhna Hoga

2) Bhoolkar Khaaya Piya Ya HumBistari Ki Ya Ehtlaam (Night Fall) Hua Ya Ulti Hui Aur Inn Sab Surton Mein Ye Gumaan Kiya K Rozah Toot Gaya Ab Jaan Bujhkar Kha Liya To Sirf Qazaa Farz Hai.

3) Kaan Mein Tel Tapkaya Ya Naak Se Dawa Chadhayi Ya Subah Ko Niyyat Nahin Ki Thi Din Mein Zawaal Se Pehle Niyyat Ki Aur Niyyat Ke Baad Khaa Liya Inn Sab Surton Mein Sirf Qazaa Laazim Hai Kaffara Nahin.

4) Guroob Samajhkar Iftaar Kar Litya Haalaki Din Baaki Tha Sirf Qaza Laazim Hai.

5) Naabaalig Bachche Ne Rozah Rakhkar Todh Diya to Uspar Qaza Nahin

6) Qai (Ulti) Aayi Ya Bhoolkar Khaya Piya Aur Inn Sab Surton Mein Use Maloom Tha K Rozah Na Gaya Phir Kha Liya To Kaffara Laazim Nahin(Qazaa Zaroori Hai).

Unn Surto Ka Bayaan Jinme Qaza Ke Saath Kaffara Bhi Laazim Hai:

1) Ramzaan Mein Rozah daar Mukallaf(Jispar Rozah Farz ho) Muqim Ne K Adaaye Rozahe Ramzaan Ki Niyyat Se Rozah Rakha Aur Geeza Ya Dawa Khaayi Ya Paani Piya Ya Koi Cheez Lazzat Ke Liye Khaayi Ya Pi Inn Sab Surton Mein Qaza Ke Saath Kaffara Bhi Laazim Hai.

2) Jis Jagah Rozah Todhne Se Kaffara Laazim Aata Hai Usme Shart Hai k Raat Hi Se Rozae Ramzaan Ki Niyyat Ki Ho Agar Din Mein Niyyat Ki Thi Aur Todh Diya to Kaffara Laazim Nahin

3) Kaffara Wajib Hone Ke Liye Bhar Pet Khaana Zaroori Nahin.Thodasa Khaane se Bhi Wajib Ho Jaayega

4) Tel Lagaaya Ya Geebat Ki Phir Ye Gumaan Kar Liya K Rozah Toot Gaya Phir Usne Kha Pi Liya Jab Bhi Kaffara Laazim Hai

5) Jin Surton Mein Rozah Todhne Par Kaffara Laazim Nahin Unme Shart Hai K Ek Hi Baar Aisa Hua Ho Aur Gunaah Ka Iraada Na Kiya Ho Warna Unme Kaffara Dena Hoga.

6) Sehri Ka Niwala munh Mein Tha K Subah Tulo'o Ho Gayi Aur Use Nigal Gaya Kaffara Wajib Hai.

7) Bhoolkar Kha Raha Tha Yaad AA Gaya Aur Nigal Gaya, Kaffara Wajib Hai.

8) Ehtlaam (Night Fall) Hua Aur Use Maloom Tha K Rozah Na Gaya Phir Kha Liya to Kaffara Laazim Hai.

9) Ramzaan Ka Rozah Qasdan (Jaanbujhkar) Todhne Se Kaffara Laazim Aata Hai

Kaffara Ka Bayan:

Rozah Todhne ka Kaffara ye hai k Ek Raqba (Loundi ya Gulaam) Aazaad kare aur ye na ho sake jaise iss Zamaane Mein Gulaam milte hi Nahin to lagaataar (pe dar pe) 60 Roze rakhe agar ye bhi na kar sake to 60 Miskeeno ko Bhar-Bhar pet Dono waqt Khana Khilaaye aur Roze rakhne ki soorat Mein agar Beech Mein Ek Din ka Rozah Bhi choot gaya to Ab se 60 Roze Rakhe pehle ki Ginti Nahin, 59 rakh chuka tha aur 60'va na rakh saka , Bimaari wagairah kisi Uzr se to phir se 60 Roze Poore lagaatar rakhe. Pehle Roze Shumaar na honge Albatta Aurat ko agar Haiz ki Wajah se jitne Naaga(Gap) hue Ye Nahin Geene jaayenge yaani pehle ke Roze aur Haiz ke baadwale Roze Dono Milkar 60 ho jaane se Kaffara Adaa ho Jaayega. Kaffara Laazim Hone Ki Shartein:

Rozah Todhne Se Kaffara Laazim Hone Ki Chand Shartein Hai Jab Ye Sab Paayi Jaayengi Tab Kaffara Laazim Hoga Warna Nahin.
1) Ramzaan Ke Mahine Mein Ramzaan Ka Rozah Adaa Karne Ki Niyyat SE Rozah Rakha Ho
2) Rozah daar Muqim Ho Musaafir Nahin
3) Mukallaf (Aaqil-o-Baalig) Ho to Agar Bachche Ya Paagal Ne Todha to Kaffara Nahin
4)Raat Hi Se Rozae Ramzaan Ki Niyyat Ki Ho To Agar Din Mein Niyyat Ki Phir Use Todh DiYA To Kaffara Nahin
5) Rozah Todhne ke baad koi aise Amr na Waaqey hua ho jo Roze ki Munafi (Khilaaf)Ho jaise Aurat ko Haiz wa Nifaas Aa gaya ho, ya Rozah Todhne ke baad itna Bimaar ho gaya ho k use Rozah na Rakhne ki Ijaazat ho to Kaffara Laazim na hoga.
Roze Ke Fidya Ke Masail:

1) Har Roze Ka Fidya Baqadre Sadqae Fitr Hai (Yaani 2 Kilo 50 gm Gehu Ya Uski Qeemat)

2) Shaikhe Faani yaani Budha jiski Umr Aisi Ho Gayi K Ab Roz Baroz Kamzor Hi Hota JAayega Jab WoH Rozah Rakhne Se Aajiz Ho Yaani Na Ab Rakh Sakta Hai Na Aainda Usme Itni Taaqat Aane Ki Koi Ummeed Hai K Rozah Rakh Sakega Use Rozah Na Rakhne ki Ijaazat Hai Aur Har Roze Ke Badle Mein Fidya Yaani Dono Waqt Ek Miskeen Ko Bhar Pet Khana Khilana Uss Par Wajib Hai Ya Har Roze Ke Badle Mein Sadqae Fitr Ki Miqdar Miskeen Ko De De.

3) Agar Aisa Budha Garmiyon Mein Ba Wajah e Garmi (Garmi Ki Wajah Se) Ke Rozah Nahin Rakh Sakta Magar Jaadho (Sardi) Main Rakh Sakega to Ab Na Rakhe Aur Inke Badle Ke Jaadho Mein Rakhna Farz Hai.

4) Agar Fidya Dene Ke Baad Itni Taaqat AA Gayi K Rozah Rakh Sakega to Fidya Sadqae Nafl Hokar Reh Gaya Unn Rozon Ki Qaza Rakhe.

0 comments:

Post a Comment