15 Apr 2014

- Bidat Aur Uski Qisme

SAWAAL: Bida’ath kise kehte hai ? aur uski kitni qisme hai ?
JAWAAB: Istilaahe Sharaa(Islami Zaban) me Bida’ath aise cheez ke ijaad karne ko kehte hai jo Huzur (Sallallahu Alaihi Wasallam) ke zahiri zamane me na ho khwah woh cheez deeni ho ya duniyawi(Ashia Tullamaath Jild awwal safa 125) aur 

Bida’ath ki teen (3) qisme hai 
1) Bida’athe Hasna
2) Bida’athe Sayyia
3) Bida’athe Mubah

1) Bida’athe Hasna: woh Bida’ath hai jo Quraan wa Hadees ke
wasool wa qawaid ke mutabiq ho aur unhi par qiyaas kiya gaya ho uski do (2) qisme hai. 
1) Bida’athe Wajiba jaise Quraan wa Hadees samajhne ke liye ilme nahaw ka seekhna aur gumrah firke maslan Khaarji, Raafzee, Qaadiyani aur Wahabi wagaira par rad ke liye dalaayil qayam karna.
2) Bida’athe Mustahaba jaise madrason ki tamer aur har woh nek kaam jiska rawaaj ibtidaye

zamane me nahi tha jaise azaan ke baad salaat pukarna, durre muqtaar babul azaan me hai ki azaan ke baad Assalatu Wasallamu Alaika Ya Rasoolallah(Sallallahu Ta’ala Alaihi Wasallam) pukarna, mahe Rabbiul Aaqar sun 781 Hijri me jaari huwa aur ye Bida’athe Hasna hai.

2) Bida’athe Sayyia: woh Bida’ath hai jo Quraan wa Hadees ke usool wa qawaid ke muqalif ho (Ashia Tullamaath Jild awwal safa 125) uski do (2) qisme hai. 

1) Bida’athe Muharrama jaise Hindustan ki mukhwajaa taaziyaadari (Fatawa Azeeziya Risala Taaziyaadari Aala Hazrath) aur jaise ahle sunnat wa jamath ke khilaf naye aqeeda waalon ke mazaahib (Ashia Tullamaath Jild awwal safa 125) 

2) Bida’athe Makruha jaise Juma wa Eidein ka khutbaa gaire arbi me padhna.

3) Bida’athe Mubah: Jo cheez Huzur Sallallahu Alaihi Wasallam ke zahiri zamane me na ho aur jiske karne na karne par sawaab wa azaab na ho usse Bida’athe Mubah kehte hai (Ashia Tullamaath Jild awwal safa 125) jaise khane peene me kushadagi iqtiyaar karna aur rail gaadi wagaira me safar karna.






0 comments:

Post a Comment