23 Jan 2014

- Meri Kismat Jagane Ko Nabi Ka Naam Kafi Hai


Meri kismat jagaane ko, Nabi ka naam kaafi he,
Hazaaron gham mitaa ne ko, Nabi ka naam kaafi he.

Ghamo ki duup ho ya phir hawaa-en tez chalti ho,
Mere iss aashiyaan ne ko, Nabi ka naam kaafi he,

Hazaaron gham mitaa ne ko, Nabi ka naam kaafi he.

Khushi ho ya koyi gham ho, Nabi ka naam leta ho,
Ke har ik gham bulaane ko, Nabi ka naam kaafi he,
Hazaaron gham mitaa ne ko, Nabi ka naam kaafi he.

Nabi ka naam leta hoon, suqoon-e-qalb milta he,
Nabi ke iss deewaane ko, Nabi ka naam kaafi he,

Hazaaron gham mitaa ne ko, Nabi ka naam kaafi he.

Jo poocha kamli waale ne, kahaa Siddiq e Akbar ne,
Mere saare gharaane ko, Nabi ka naam kaafi he,

Hazaaron gham mitaa ne ko, Nabi ka naam kaafi he.

Sulagti aag par Habshi, ke honton se sadaa aayi,
Meri bigri banaane ko, Nabi ka naam kaafi he,

Hazaaron gham mitaa ne ko, Nabi ka naam kaafi he.

Yehi kehta he Shahid bi, yehi sab log kehte he,
Ke iss saare zamaane ko, Nabi ka naam kaafi he,

Hazaaron gham mitaa ne ko, Nabi ka naam kaafi he.

0 comments:

Post a Comment