21 Jan 2014

- Jise Mil Gaya Kamli Wale ka Daman

Jisse mil gaya Kamli Waale ka daaman,
Usse do jahaan ka khazaana milaa he

Balaa baag-e-Jannat ko wo kya kare ga,
Madinah me jis ko tikaana milaa he

Kissi ko zamaane ki dawlat mili he,
Kisi ko jahaan ki hukumat mili he,
Mein apne muqaddar pe qurbaan ja-uun,
Mujhe yaar-e-ka aastana mila he

Namaaze pare jaa, azaane diye ja,
Shabo Rawz-e-sajdon pe sajde kiye ja,
Namaaze usi ki, azaan-e-usi ki,
Jisse panjtan ka garaana mila he

Jisse mil gayi unke dar ki gadayi,
Usse dawlat-e-do jahaan haath aayi,
Dar-e-Mustafa tak he jis ki rasayi,
Shafaa’at ka usko bahaana mila he


Ali se na milqar Nabi se mila hoon,
Muhammad se milqar Khuda se mila hoon,
Haqiqat to ye hein mujhe Peer e Kamil,
Tumhare mile se zamaane mila he

Zahoori kalam ki ye hi aabru he,
Ke Zikr-e-Muhammad se, ye sur-khuru he,
Muhammad ka Rawza mere rubaru he,
Duroodo ka mujko taraana mila he

Jisse mil gaya Kamli Waale ka daaman,
Usse do jahaan ka khazaana milaa he

0 comments:

Post a Comment